Saturday 21 July 2007

Bharat Ek Khoj Title song

Shrushtee se pehle sat nahin thaa;
asat bhi nahin Antariksh bhi nahin;
aakaash bhin nahin thaa, chhipaa thaa kyaa kahaan;
kisne dekhaa thaa; us pal to agam, atal jal bhi kahaan thaa;
Shrushtee kaa kaun hain kartaa;
Kartaa hain yeh vaa akartaa;
Oonche aasmaan mein rahtaa;
Sadaaa adhyaksh banaa rahtaa Wohin sach much mein jaantaa..Yaa nahin bhi jaanataa;
Hain kisi ko nahin pataa Nahin pataa Nahin hai pataa, nahin hai pataa;
Voh tha hiranya garbh srishti se pehle vidyamaan;
Vohi to saare bhoot jaat ka swami mahaan jo hai astitvamaana dharti aasmaan dhaaran kar; Aise kis devta ki upasana kare hum avi dekar;
Jis ke bal par tejomay hai ambar, Prithvi hari bhari sthapit sthir, Swarg aour sooraj bhi sthir;
Aise kis devta ki upasana kare hum avi dekar;
Garbh mein apne agni dhaaran kar paida kar;
Vyapa tha jal idhar udhar neeche upar;
Jagaa chuke vo ka ekameva pran bankar;
Aise kis devta ki upasana kare hum avi dekar
Om ! Srishti nirmata swarg rachayta purvaj rakhsa kar;
Satya dharma palak atul jal niyamak raksha kar;
Phaili hain dishayen bahu jaisi uski sab mein sab par;
Aisi hi devta ki upasana kare hum avi dekar;
Aisi hi devta ki upasana kare hum avi dekar.